Be khuwab lamhon ka paristar kon tha
Itni udas raat mein bedaar kon tha
Kis ko ye fikar thi k muhabat mein kia huwa
Hum is py larr rahy thy
k wafadar kon tha
So kashtiyan jala k chaly sahilon sy Hum
Ab Tum ko kia batayein k us paar kon tha
Ye faisla to shayd waqt bhi na kr saky
Such kon bolta tha, adakar kon tha
Zamany guzar gaye ye sochty huwy
Main kis ko kahon apna, Mera ghum khuwar kon tha?